Zindagi Gulzar hai .. climax dialogues

Kabhie aayegi khushi, kabhie gam aayengen.

Kashaf Murtaza: Zindagi bahut si ajeeb baaton ka ek majmuan hai .. ajeeb baatein, itefaqat, maujaze.

Baaz dafa samajh nahi aati, agar isko ek jumle mein define karna pade, to woh kya hoga?

Zindagi Gulzar hai.

Jaise Zaroon usko kahta hai.

Zaroon Junaid: Zindagi vakay gulzar hai .. biwi, family, aulad ke saath.

Isse zyada ki khwaish to kabhi nahi kar sakta main.

Kashaf Murtaza: Kai saal pahle main apni zindagi mein aanewali har takleef par Allah ta’ala ko ilzaam diya karti, shikayaton ka ek dher tha, jo main har wakt uske saamne laga diya karti thi.

Mujhe hamesha is cheez ka afsos rahega ki main Allah ko galat samajhti thi, uski taqat aur hikmat ke baare mein galat andaaze lagaati thi.

Mujhe lagta tha ki Allah mujhse pyar nahi karta .. haalanki Allah to, hum sab se pyar karta hai.

Wo naimaten bhi deta hai aur aazmaata bhi hai.

Lekin ye baat pata nahi jaldi samajh kyon nahi aati?

Zaroon Junaid: Years of Marital bliss. Aur in tamam saalon mein Allah ne bahut meharbaaniyan ki hai mujhpar.

Aur mein uska jitna bhi shukr ada karun woh kam hai.

Kashaf Murtaza: Zindagi abhi khatam nahi hui, bas fark ye hai ki ab meri diary mein, Allah se shikve kam ho gaye hai.

Maine un chizon par raazi hona seekh liya hai jo wo mujhe deta hai aur un cheezon ki talaash chod di hai jo naa haasil hai.

==========================================================================

Kashaf Murtaza : Life is a collection of many things .. strange events, coincidences … miracles.

Some times one cannot understand it.

If one were to define it in one sentence .. what would it be?

‘Life is a garden’ … just the way Zaroon says it.

Zaroon Junaid: Life really is a garden .. with my wife, family and children.

I can’t wish for more than this.

Kashaf Murtaza: Many years ago I used to blame God for all my problems .. I had a whole list of complaints I would put up in front of Him.

I will always regret that i misjudged God’s intentions … that I was wrong in underestimating His strength and His wisdom.

I always felt that God didn’t love me; although God loves all of us.

He gives us many blessings; yet tests as us well. I don’t know why we never understand this early on in life.

Zaroon Junaid : Years of Marital bliss. All these years God has been very kind to me.

And no matter how hard I try to thank Him, I don’t think I can ever thank Him enough.

Kashaf Murtaza: My life hasn’t finished as yet.

The only difference is that my diary doesn’t have any more complaints with regards to God and His injustices.

I’ve also learnt a few things in life, one is to accept that which He gives me and the other is to stop searching for that which is unattainable.